Aadarniya yashwant bhai prnaam, aap kaise hai, Uttar prdesh ke hum gareeb stringro ka bhi dhyan rakho. humne mahuaa news mein kaam shuru kiya tha. uske baad mahuaa group ne, mahuaa newsline ke naam se naya channel shuru kiya. humlogo ne ji tod maehnat kar channel ko bulandiyo par pahunchaya. har news sabse pahle break ki lekin hume inam milne ki vajah ulta mahuaa prbandhan ne hamari 18 mahine ki story tak ka paisa maar liya.
main aapke madhyam se channel ke mailik tiwari ji ko kahna chahata hu ki tiwari ji stringro ki baddua mat lo, aisa na ho ki bechare stringro ki aisi baddua lage ki aap sadak par aa jao. gareeb ka paisa maarkar aaj tak kabhi koi sukhi nahi hua jo aap sukhi ho jaoge.
yashwant ji inhone mahuaa news line ka to chhodo, mahuaa news ka bhi paisa nahi diya ab tak. mera aapse anurodh hai ki aap mahuaa ke kisi adhikari se phone par baat karke puchhe ki aakhir kya vajah hai ki stringro ka paisa maar liya. yadi samy rahte inhone kisi bhi stringer ka bakaya paisa nahi diya to wo din dur nahi jab mahuaa ke mailik par bhgwan ki gaaj giregi main mahuaa par case karunga.
yahswant bhai aapse anurodh hai ki meri is peeda ko samjhe or meri madad kare.
dhnywad
aapka chota bhai
xyz
(Mahuaa News, Uttar Prdesh)