Connect with us

Hi, what are you looking for?

No. 1 Indian Media News PortalNo. 1 Indian Media News Portal

विविध

Dukhendu ki amar dastaan

Delhi Times of India (ToI) ki jaan hai uski metro desk aur reporting jismein 12 subeditor desk par aur 17-18 reporter hain. Kaam hai Delhi shahar ki khabar lana. Page 2 se Page 7 tak ka jimma metro desk par hai. Is poore unit ke in-charge hai ek aadmi jo ki badsuluki aur gandi gaali dene aur phansate hi jhoot bolne mein ustaad hai. Sab log use Dukhendu (Dhukh dene wala), Hypertendu (Hamesha jhagda karne wala) kehte hain. Who bangali hain aur kisi se bhi nahin patati hai. Bangaliyon se bhi nahin.

Delhi Times of India (ToI) ki jaan hai uski metro desk aur reporting jismein 12 subeditor desk par aur 17-18 reporter hain. Kaam hai Delhi shahar ki khabar lana. Page 2 se Page 7 tak ka jimma metro desk par hai. Is poore unit ke in-charge hai ek aadmi jo ki badsuluki aur gandi gaali dene aur phansate hi jhoot bolne mein ustaad hai. Sab log use Dukhendu (Dhukh dene wala), Hypertendu (Hamesha jhagda karne wala) kehte hain. Who bangali hain aur kisi se bhi nahin patati hai. Bangaliyon se bhi nahin.

Dukhendu ToI Delhi se pehle woh Indian Express mein tha jahan par Shekhar Gupta se anban ke chalte nikal diye gaye. Iss wakhth uski salary Rs 2.25 lakh per month hai. Delhi ToI Metro mein kaam karne ka matlab hai subah-subah Dukhendu ka phone call, reporter aur desk walon ko. Bhaddi gali aur jhagda har subah hota hai phone par sabse. Iss ke chalte ToI reporter Ruhi Bhasin ne Indian Express join kiya aur baad mein Dukhendu ko kaha ki subah ka phone call toh Indian Express mein nahin aata hai! Is kadar mahol hai ki pechle 6 saal mein kul 35-36 log ToI Metro se resign kar ke chal diye. Kuch mahine pehle reporter Prerna Sodhi ne Mail Today join kar liya.

Dukhendu reporters ko aapne niji kaam pe bhi lagate hain. Jaise, Sept 2011 ko uske rishtedar ne apni car se ek admi ko jhakhmi kar diya, aur police bhi rishtedar ke peeche pad gaye. Usko bachaane mein crime reporter Indrani Basu thane bheji gayi.

Hadh toh tab ho gaye jab Dukhendu 16 Oct 2011 ko office mein photographer Neeraj Paul ko maarne daure. Ladai 45 minutes tak chali jisme poore office ke saamne tamaasha chala. ToI Delhi Resident Editor Vikas Singh ke beech bachaav ke baad mamla suljha. Par agle din khabar ToI ke Managing Director tak gayi. Unhone kaha HT isiliye ToI se beheter kar rahi hai. Yeh sunkar Subhendu ne poori raat jag kar ek report banaya jisme yeh dikhya ki kaun si story HT meing choot gayi hai aur ToI mein hai. Ram-ram kar ke maamla rafa dafa hua.

Uske kuch mahine baad Desk par kaam karne wali Sharla Bazleil se cheekh-cheekh kar jhadga kiya. Dosh itna ki Sharla Bazleil ne ek story ko theek se edit nahin kiya tha. Uske annual report mein Dukhendu ne “needs improvement” likha, taki who jaldi nikaal di jaye. Iske baad Sharla resign karke India Today gayi. Yeh toh sirf examples hain. Is aadmi ne kitno ki naukri khayee hai uska thikana nahin hai.

Dukhendu ki kisi se nahin patati hai, khaskar Times News Service ke Ranjan Roy se. Dhukhendu unke bare mein office mein gandi gandi aafwah phailate hain. Sirf itna hi nahin. Dukhenduji ToI Delhi Resident Editor Vikas Singh se jalte hain. Vikas Kashmir ke Dogra royal family ke kareebe rishtadar hain. Dukhendu unhe “ornamental editor” kehte hain aur kehte hain ki Vikas aapne kareebe logon ko ToI mein rakhna chahte hain taki who jab Executive Editor bane tab sab jaldi apne kaabu mein kar saken.

ToI Executive Editor Arindam Sen ko who aksar jhoot bolte hain, who bhi tab jab koi story choot jati hai aur Sen sahib subah poochte hain. Sen sahib sab kuch jaante hain aur unhein halke mein lete hain.

Dukhendu ke vyavahaar ke karan koi bhi News Editor desk ko na sambhaal paya. Madhushree, Harsh Verma, Prasanna, Prakram Rautela, Ramesh Kumar, Partha Maitra sab log eke k kar ke kuch mahinoh mein chal diye. Waise Dukhendu kuch News Editor pe meherbaan the. Madhushree ko ghar chodne raat ko aapni car mein rooj le jaate the!

ToI ke Editorial Director Jaideep Bose urf Jojo, Dukhendu ko nazarandaaz karte hain. Jab UPA govt budget peesh karti hai, tab Jojo special pages banwate hain jisme har senior journalist ko ek page ki zimmadari di jaati hai. Dukhendu ko iss sab se whoh door rakhte hain.

Advertisement. Scroll to continue reading.

Baap numbari beta dus nambari! Dukhendu ka beta hai Shubhankar jo ki DPS RK Puram mein padhta hai. Usne ek baar school mein ek ladki ko cheda, jiske chalte crime reporter Dwaipayan Ghosh ko police se beech bachaav karna pada tha. Ek baar Shubhankar ne ek ladki par ashleel tippani ki jiske baad DPS ke Principal Shyama Chona (Padma Vibhushan Winner) ne office bulakar Dukhendu aur uski wife ko daanta aur kha ki agli baar uska beta school se nikal diya jayaga. Office laute hi Dhukhendu education reporter Neha Pushkarna ke peeche pad gaye ki uske bête ka admission Modern School mein kara dein! Kuch din baad Neha bhi resign karke Mail Today chali gayi. Office mein aksar kaam karte wakth who phone par aapne aawara bête ko hadkate hua suniye padte hain.

Sabze ascharya ki baat hai ki yeh sab Drama neeche 3rd floor par chalta hai aur Times of India ke malik ko kuch bhi nahin pata ki kaise unke akhbaar ko Dukhendu barbaad kar raha hai.

एक पत्रकार द्वारा भेजे गए पत्र पर आधारित.

Click to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

… अपनी भड़ास [email protected] पर मेल करें … भड़ास को चंदा देकर इसके संचालन में मदद करने के लिए यहां पढ़ें-  Donate Bhadasमोबाइल पर भड़ासी खबरें पाने के लिए प्ले स्टोर से Telegram एप्प इंस्टाल करने के बाद यहां क्लिक करें : https://t.me/BhadasMedia 

Advertisement

You May Also Like

विविध

Arvind Kumar Singh : सुल्ताना डाकू…बीती सदी के शुरूआती सालों का देश का सबसे खतरनाक डाकू, जिससे अंग्रेजी सरकार हिल गयी थी…

सुख-दुख...

Shambhunath Shukla : सोनी टीवी पर कल से शुरू हुए भारत के वीर पुत्र महाराणा प्रताप के संदर्भ में फेसबुक पर खूब हंगामा मचा।...

विविध

: काशी की नामचीन डाक्टर की दिल दहला देने वाली शैतानी करतूत : पिछले दिनों 17 जून की शाम टीवी चैनल IBN7 पर सिटिजन...

प्रिंट-टीवी...

जनपत्रकारिता का पर्याय बन चुके फेसबुक ने पत्रकारिता के फील्ड में एक और छलांग लगाई है. फेसबुक ने FBNewswires लांच किया है. ये ऐसा...

Advertisement