Connect with us

Hi, what are you looking for?

Local News Community

कहिन

वेज बोर्ड सदस्य के ही अखबार में वेज बोर्ड नहीं

Yashwant Ji, Sadar pranam, Hum SAURASHTRA SAMACHAR (Bhavnagar- Gujarat) me kaam karte hain. Hamara akhabar Dainik Bhaskar walo ne 2004 me kharid liya tha.

Yashwant Ji, Sadar pranam, Hum SAURASHTRA SAMACHAR (Bhavnagar- Gujarat) me kaam karte hain. Hamara akhabar Dainik Bhaskar walo ne 2004 me kharid liya tha.

Lekin ye log hamko hamare adhikar se vanchit rakh rahe hain, aur koyi bolta hai to unko baahar ka rasta dikhane ki dhamki bhi dete hain. Manisana Wage Board January 2008 se lagu karne ki sifarish kar di gayi hain, aur  30% interim relief sabhi karmachario ko de dene ka aadesh bhi ho chuka hai lekin BHASKAR prabandhan ne abhi tak hamara 30% release nahi diya hai.

Aur to Aur, ham sab ko pichhale ek saal se DA ka percent jo badhata hai, voh bhi nahi dete hain. Aap ko jaankar aashcharya hoga ki WAGE BOARD ka Member Pratap Shah, Saurashtra Samachar ka editor hai aur vo hi hamare akhabar mei amal karne nahi deta.

Apse binati hai ki kisi ke naam ka havala diye bager aap agar bhadas4media mei hamari kathani likhoge to hamko bahut relief milegi Hum 22 Karmachari hain jisko nahi mila hai wage board ka laabh aur any laabh.

Bhaskar prabandhan hamare purane karmachario ke saath bahut bur vyavhar karte hai. hamko har bar ”nokri chhod do” eisa bolte hai.

Please publish above.

aapka

ek patrakar bhayi

(भड़ास4मीडिया के पास आई एक पत्रकार साथी के मेल पर आधारित. पत्रकार का नाम उनके अनुरोध के कारण प्रकाशित नहीं किया गया है. अगर किसी को इस पत्र पर कोई आपत्ति है तो अपनी बात [email protected] पर भेज सकता है)

CosmoQuick: AI Recruitment For Media Jobs
Click to comment

0 Comments

  1. BIJAY SINGH

    April 22, 2010 at 2:54 pm

    maximum newspaper mangement patrakaro ka payment /wage nahi dete hain.
    journalists association safed hathi hai bas.nautanki baaj management ko dhyan dena chahiye ki patrakar din raat ek kar akhbar ke liye kaam karta hai.they are professionals not beggars.

  2. ABC

    April 23, 2010 at 7:47 am

    Bhai,
    Aajkal atyaachaar ke hkilaph bolane vaale nahi, use dabaane vaale aur chup rahane vaale hi tik paate hai. Aaj ki patraksrita yahi kahati hai ki dusron ke shoshan ke baare me likho aur khud ka shoshan karvaate raho.

  3. rkr

    April 24, 2010 at 11:43 am

    patrkar bhai
    ye koi ashcharya ki baat nahi hai sabhi akhbar maliko ka yahi haal hai
    wo apne karmchariyo se gulamo ki tarah pesh aate hai aur hum sabkuchh bardast karte hai

  4. k.c dubey

    April 24, 2010 at 6:47 pm

    yashwant ji.sacha me dekha jay to sabase jyada brashtachar media me hi hai. lagbhag sabhi akhabaro me karmachariyo ke saath galat bartav hotoa hai. mumbai se nikalane wale akhabhar yashobhoomi ka to haal sabase bura hai. yaha par sampadak anand shukla ne apane bhaiyo aur ristedaro ko hi staff me rakha liya hai. kisi ko kuchha aata jaata nhi par sab bade aaraam se kam kar rahe hai. malik marathi hai isliye hindi jyada samaz hi nahi paata. aur sampadak apani manamani karata hai. kisi bhi staff ki koi khabar chhapane nahi deta. bade aadarsh ki baat karata hai aur hajar pacha sav me bikata hai. netao se paise leta hai aur doosaro ke samane bada sanskari banata hai. mumbai jaise sahar me yashobhoomi papper me koi wetanmaan nahi hai. sab kuchha ekdam manamane dhanga se hota hai aur koi staff kuchha nahi bol paata.

  5. indraprakash tiwari

    August 4, 2010 at 5:38 pm

    kripya inki shikayat par koi thos kadam uthayan ge to mughe khushi hogi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

भड़ास तक खबर सूचनाएं जानकारियां मेल करें : [email protected]

भड़ास के वाट्सअप चैनल से जुड़ें और नवीनतम खबरें पाएं : Bhadas Whatsapp

भड़ास लीगल टीम : किसी किस्म की लीगल हेल्प के लिए संपर्क करें- Bhadas Legal Team

You May Also Like

Uncategorized

भड़ास4मीडिया डॉट कॉम तक अगर मीडिया जगत की कोई हलचल, सूचना, जानकारी पहुंचाना चाहते हैं तो आपका स्वागत है. इस पोर्टल के लिए भेजी...

Uncategorized

भड़ास4मीडिया का मकसद किसी भी मीडियाकर्मी या मीडिया संस्थान को नुकसान पहुंचाना कतई नहीं है। हम मीडिया के अंदर की गतिविधियों और हलचल-हालचाल को...

हलचल

[caption id="attachment_15260" align="alignleft"]बी4एम की मोबाइल सेवा की शुरुआत करते पत्रकार जरनैल सिंह.[/caption]मीडिया की खबरों का पर्याय बन चुका भड़ास4मीडिया (बी4एम) अब नए चरण में...

Uncategorized

मीडिया से जुड़ी सूचनाओं, खबरों, विश्लेषण, बहस के लिए मीडिया जगत में सबसे विश्वसनीय और चर्चित नाम है भड़ास4मीडिया. कम अवधि में इस पोर्टल...