Connect with us

Hi, what are you looking for?

कहिन

Sehra magar ba-tang-e-a-chashm-e-husud thaa

Yashwant Singhji, Mein aapko ye link bhej raha hoon.  Aur bhee hain is ke saath saath. Ghalib ki ghazal ke do she’r  jo maine likhe the un par zara tafseel se likhta hoon.

<p style="text-align: justify;">Yashwant Singhji, Mein aapko ye link bhej raha hoon.  Aur bhee hain is ke saath saath. Ghalib ki ghazal ke do she'r  jo maine likhe the un par zara tafseel se likhta hoon.</p>

Yashwant Singhji, Mein aapko ye link bhej raha hoon.  Aur bhee hain is ke saath saath. Ghalib ki ghazal ke do she’r  jo maine likhe the un par zara tafseel se likhta hoon.

Juz Qais koi na aaya ba-ru-e-kaar

Sehra magar ba-tang-e-a-chashm-e-husud thaa.

Ghalib kehte hain ki sivaye Majnoo’n ke Ishq ke muamle main koi dusra nahin barabaree kar saka.  Laila ke ishq mein, Majnoo’n madarse mein, sirf Laila Laila likha karta tha. (Ghalib ne ye likha bhi hai: Khat likhenge garche matlab kuchh na ho.  Hum to aashiq hain tumhare naam ke.)  Jab Master ne yeh dekha to usne Majnoo.n ko madarse se nikal diya.  Woh jungle mein chala gaya aur wahan bhi woh Laila Laila karta raha.  baith gaya kahin.  Uske baal bardh gaye, parindo.n ne ghonsle banaliye.  Ek roz use jab yeh khabar mili ki Laila mar gayee to usne bhi baithe baithe dum tod diya.

Sehra magar ba-tang-e-a-chashm-e-husud thaa.

Is misre mein Ghalib ye keh rahe hain ke ki sehra hasad ki aankh ki tarah tang thaa,. Usme kisi dusre aashiq ke liye jagah hee nahin thee( Ishara apni tharaf hai).

Ab Farhad ka kya qissa hai.  Farhad Shrin ke ishq mein mubtila thaa.  Shirin Badshah ki Begum thee.  Farhad Shirin se Sha’adi karna chahta tha.  To Badshah ne kaha ki theek hai, tum pahad kaat kar doodh ki nadi nikal kar le aao to hum Shirin ki shaadi tum se kar denge.  Jab doodh ki nahar qareeb qareeb mukammil ho gayi to Badshah ne ye kehelwa bheja ki Shirin mar gayi.  Farhad ne Shirin ke gham mein apne sir par Kudal maar kar khudkushi kar lee.

Ghalib ye kehte hain ki Farhad  ka sir duniya ke rasmo-riwaj mein ghoom raha tha (yaani woh Shirin se Sha’adi karna chahta tha- sir gashtiye khumar-e-rasoomo-qayud tha).  Is liye use Kudali ki zaroorat padi, apni jaan dene ke liye (Teeshe baghair mar na saka Kohkan ‘Asad’*).  Jab ki Majnoo.n ki jaan nikal gayi, yeh sunte he, ki Laila mar gayi.   Ghalib ne apne khatoot mein yeh likha bhi hai ki Main Majnoo.n ko sabse bada aashiq maantaa hoon.

Ye Ghazal Asad takhallus se likhee hai

Advertisement. Scroll to continue reading.

*Ghalib ki Asad takhallus se likhin ghazlain mere khyaal se 24, ya 25 baras ki umar tak ki hain.  In ghazlon to ek saath padhne main kuchh aur hee lutf hai.

Ab aisa hai ki mujhe is tarah se likhne mein bahot zehmat hoti hai aur angrezi zaban mein urdu sha’eri ki baat karna mere khayal se theek nahin hai.  Maine devnagri ke Font download kiye, woh haadasa apni jagah hai.  Choonke aapka Ghalib mein shauq dekh kar maine bhee kheti baadi karne ki koshish ki.  Is ki muafee chahta hoon.

Aap isi tarah likhte rahen aur logon ka zauq aur shauq bardhtaa rahe is se ziyada behtar koi kaam nahin hai.

link pe click karen…

Ghalib ke Khutoot1

Ghalib ke Khutoot2

aappa
faqat,
Krishna

Click to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

अपने मोबाइल पर भड़ास की खबरें पाएं. इसके लिए Telegram एप्प इंस्टाल कर यहां क्लिक करें : https://t.me/BhadasMedia

Advertisement

You May Also Like

Uncategorized

भड़ास4मीडिया डॉट कॉम तक अगर मीडिया जगत की कोई हलचल, सूचना, जानकारी पहुंचाना चाहते हैं तो आपका स्वागत है. इस पोर्टल के लिए भेजी...

Uncategorized

भड़ास4मीडिया का मकसद किसी भी मीडियाकर्मी या मीडिया संस्थान को नुकसान पहुंचाना कतई नहीं है। हम मीडिया के अंदर की गतिविधियों और हलचल-हालचाल को...

टीवी

विनोद कापड़ी-साक्षी जोशी की निजी तस्वीरें व निजी मेल इनकी मेल आईडी हैक करके पब्लिक डोमेन में डालने व प्रकाशित करने के प्रकरण में...

हलचल

[caption id="attachment_15260" align="alignleft"]बी4एम की मोबाइल सेवा की शुरुआत करते पत्रकार जरनैल सिंह.[/caption]मीडिया की खबरों का पर्याय बन चुका भड़ास4मीडिया (बी4एम) अब नए चरण में...

Advertisement